Jaun Elia Shayari: Jaun Elia, a renowned Urdu poet, is celebrated for his profound and melancholic shayari (poetry). His verses are a captivating blend of love, pain, and existential reflections, often exploring the complexities of human emotions and the fragility of life. Elia’s shayari continues to resonate with readers for its depth and sincerity, making him an enduring figure in Urdu literature.
Jaun Elia Shayari
Mein Bhi Bohat Ajeeb Hun Itna Ajeeb Hun Keh Bas
Khud Ko Tabah Kar Liya Aur Malal Bhi Nahi
मैं भी बोहत अजीब हुन इतना अजीब हुन के बस
खुद को तबाह कर लिया और मलाल भी नहीं
Ab Meri Koi Zindagi Hi Nahi
Ab Bhi Tum Meri Zindagi Ho Kya
अब मेरी कोई जिंदगी ही नहीं
अब भी तुम मेरी जिंदगी हो क्या
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane Ke Liya Hai,
Jo Kuch Hai Yahan Aag Lagan Ke Liye Hai
एक दिल है जो हर लम्हा जलाने के लिया है,
जो कुछ है यहां आग लगान के लिए हैं
Kitne Aesh Se Rehte Hun Gey Kitne Itraate Hun Gey
Jaane Kese Log Wo Hun Gey Jo Us Ko Bhaate Hun Gey
कितने ऐश से रहते हैं गे कितने इतरते हुए गए
जाने केसे लोग वो हुं गे जो उसको भाते हूँ गे
Jo Dekhta Hoon Wohi Bolne Ka Aadi Hun
Mein Apne Shehr Ka Sab Se Bara Fisadi Hun
जो देखता हूं वही बोलने का आदि हुं
में अपने शहर का सब से बड़ा फिसदी हुं
Jaun Elia Quotes
Woh Jo Rehti Thi Dil Muhalle Mein,
Phir Woh Ladki Mujhe Mili Hi Nahi
वो जो रहती थी दिल मुहल्ले में,
फिर वो लड़की मुझे मिली ही नहीं
Gawai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Mein Ne
Wo Kon Hai Jisey Dekha Nahi Kabhi Mein Ne
गवाई किसकी तमन्ना मैं जिंदगी में ने
वो कौन है जिसे देखा नहीं कभी में नहीं
Jo guzaari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzari hai,
जो गुजारी ना जा सकी हम से,
हम ने वो जिंदगी गुजारी है,
Unhe main teri tamanna ka fun sikhata hoon,
Jo log teri tamanna se darne lagte hai.
उनको मैं तेरी तमन्ना का फन सिखाता हूं,
जो लोग तेरी तमन्ना से डरने लगते हैं।
Kaun Iss Ghar Ki Dekh Bhal Kare,
Roz Ek Cheez Toot Jati Hai.
कौन इस घर की देख भी करे,
रोज़ एक चीज टूट जाती है।
Jaun Elia Best Poetry
Ilaaj yeh hai ke majboor kar diya jaaon,
Wagarna yuun to kisi ki nahin suni maine.
इलाज ये है के मजबूर कर दिया जाओ,
वगरना यूँ तो किसी की नहीं सुनी मैंने।
Kitni dilkash ho tum, kitna dil-jo hoon main,
Kya sitam hai ke hum log mar jaayen ge.
कितनी दिलकश हो तुम, कितना दिल-जो हूं मैं,
क्या सितम है के हम लोग मर जाएंगे।
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane Ke Liya Hai,
Jo Kuch Hai Yahan Aag Lagan Ke Liye Hai.
एक दिल है जो हर लम्हा जलाने के लिए है,
जो कुछ है यहां आग लगन के लिए है।
Kal Par Hi Rakho Wafa Ki Batain
Main Aaj Bahut Bhuja Hoa Hon.
कल पर ही राखो वफ़ा की बातें
मैं आज बहुत भुजा हो माननीय।
Kaise kahein ke us ko bhi humse hai koi waasta
Us ne to ham se aaj tak koi gila hi nahin kiya.
कैसे कहें के हमें भी हमसे है कोई वास्ता
हमें ने हम से आज तक कोई गिला ही नहीं किया।
Yun jo takta hai aasmaan ko tu
Koi rehta hai aasmaan mein kya.
यूं जो ताकत है आसमान को तू
कोई रहता है आसमान में क्या।
Her Bar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Har Bar Tum Se Mil Ke Bicharta Raha Hun Main..
उसके बार मेरे सामने आती रही हो तुम
हर बार तुम से मिल के बिचारता रहा हूं मैं..
Shayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Hui
Laikin Yaqeen Sab Ko Dilata Raha Hun Main..
शायद मुझे किसी से मोहब्बत नहीं हुई
लाइकिन यकीन सब को दिलता रहा हूं मैं..
Ik hunar hai jo kar gaya hoon main,
Sab ke dil se utar gaya hoon main.
इक हुनर है जो कर गया हूं मैं,
सब के दिल से उतर गया हूं मैं।
Is Qaddar Zorr Say Tamachay Paray Hain
Daikh Tau Surkhi Meray Rukhsaar Ki.
क्या क़द्दर ज़ोर से तमचाय पराय है
दैख ताऊ सुरखी मेरे रुखसार की।
Also Read:
Jaun Elia Poetry in Urdu
Bohat Dil Ko Kushada Kar Lia Kia?
Zamaney Bhar Se Waada Kar Lia Kia?..
बोहट दिल को कुशादा कर लिया किया?
जमाने भर से वादा कर लिया किया?..
Hum Rahay Phir Nahi Rahe Aabad
Yaad Ke Gher Nahe Rahay Aabaad.
हम रहे फिर नहीं रहे आबाद
याद के घर नहीं रहे आबाद।
TujhSe Gilay Karoon Tujhe Janaan Mana On Main
Ek Baar Apne Aap Mein Aao To Aao Main.
तुझसे गिले करूं तुझे जाना मनाऊं
एक बार अपने आप में आओं से आओं मैं।
Mujhko Aap Apna Aap Dijiyega
Aur Kuchh Bhi Na Mujh Se Lijiyega.
मुझको आप अपना आप देंगे
और कुछ भी ना मुझ से लिजिएगा।
Us gali ne ye sun ke sabr kiya
Jaane waale yahan ke hi nahin.
उस गली ने ये सुन के सब्र किया
जाने वाले यहां के ही नहीं।
Be wat agar Jaaunga to Sab Chaunk Padenge
Ek muddat hui, Din mai kabhi Ghar nahi dekha.
अगर जाउंगा तो सब चौक जाएंगे
एक मुद्दत हुई, दिन मैं कभी घर नहीं देखा।
Teg-baazi ka shauk apni jagah
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain.
तेग-बाजी का शौक अपनी जगह
आप तो कत्ल-ए-आम कर रहे हैं।
Khamoshi se ada ho rasm-e-duri
Koi hungama barpa kyun karein hum.
खामोशी से अदा हो रस्म-ए-दुरी
कोई हंगामा बरपा क्यों करें हम।
Us ke honton pe rakh ke hont apne
Baat hi ham tamaam kar rahe hain.
हमें रखने के रखने के अपने हैं
बात ही हम सब कर रहे हैं।
Us Ne Goya Mujhi Ko Yaad Rakha
Mein Bhi Gaya Usi Ko Bhool Gaya.
उस ने गोया मुझे को याद रखा
मैं भी गया उसी को भूल गया।
Tund Lamhon Se Toot Phut Ke Main,
Teri Baahon Mein Aan Parta Hun.
टुंड लम्होन से टूट फूट के मैं,
तेरी बाहों में आन परता हूं।
Jaun Elia Best Lines
Kaam Ki Baat Mein Ne Ki Hi Nahi
Ye Mera Tore Zindagi Hi Nahi.
काम की बात में ने की ही नहीं
ये मेरा तोरे जिंदगी ही नहीं।
Jo Zindagi Bachi Hai Usay Mat Gawaye
Behtar Yahi Hai Aap Mujhe Bhool Jaiye.
जो जिंदगी बच्ची है उसे मत गवाये
बेहतर यही है आप मुझे भूल जाओ
Mar Gaye Khwab Sab Ki Aankhon Ke,
Har Taraf Hai Gila Haqeeqat Ka.
मार गए ख्वाब सब की आंखों के,
हर तरफ है गिला हकीकत का.
Zindagi Ek Fun Hai Lamhon Ko
Apne Andaz Se Manwane Ka.
जिंदगी एक फन है लम्हों को
अपने अंदाज़ से मनवाने का।
Ik Teri Brabri Ke Liye
Khud Ko Kitna Gira Chuka Hun Mein.
इक तेरी बराबरी के लिए
खुद को कितना गिरा चुका हूं में।
Woh Faqt Sehen Tak Hai Aati Thi,
Main Bhi Hijre Se Kam Nikalta Tha.
वो फ़क़त सेन तक है आती थी,
मैं भी हिजरे से कम निकलाता था।
Humse Rootha Bhi Gaya Hum Ko Manaya Bhi Gaya
Phir Sabhi Naqsh Taaluq Ke Mitaye Bhi Gaye.
हमसे रूठा भी गया हम को मनया भी गया
फिर सभी नक्श तालुक के मितये भी गए।
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane Ke Liya Hai,
Jo Kuch Hai Yahan Aag Lagan Ke Liye Hai.
एक दिल है जो हर लम्हा जलाने के लिए है,
जो कुछ है यहां आग लगन के लिए है।
Main raha umar bhar juda khud se,
Yaad main khud ko umar bhar aya.
मैं रहा उमर भर जुदा खुद से,
याद मैं खुद को उमर भर आया।
Ab kharra soch raha hoon logo,
Kyun kiya tum ko ikatha maine.
अब बुरा सोच रहा हूं लोगो,
क्यों किया तुम को इकथा मैंने।
Ghair Ke Dil Mai Gar Utarna Tha
Mere Dil Se Utar Gaye Hote.
घर के दिल में गर उतरना था
मेरे दिल से उतर गए होते।
Meri Bahon Mein Behakne Ki Saza Bi Sun Le
Ab Bohat Dair Mai Azad Karon Ga Tuj Ko.
मेरी बहनों में बहनों की सजा बी सुन ले
अब बोहट दैर माई आजाद करों गा तुझ को।
Muddaton baad ghar geya tha main,
Jaate hi main wahan se ddar aya.
मुद्दतों बाद घर गया था मैं,
जाते ही मैं वहां से दादर आया।
Mujhse Milne Ko Aap Aaye Hain,
Bethiye Main Bula Kar Laata Hun.
मुझसे मिलने को आप आए हैं,
बेठिए मैं बुला कर लाता हूं।
Jaun Elia Ghazal
Humen furqat ka shikwa karne wali,
Meri mojoodgi main so rahi hai..
हमें फुर्कत का शिकवा करने वाली,
मेरी मजूदगी में तो राही है..
Aaj Mujh Ko Bohat Bura Keh Kar
Apne Naam Tu Liya Mera.
आज मुझ को बोहत बुरा कह कर
अपने नाम तू लिया मेरा।
Ye Kafi Hai Keh Hum Dushman Nahi Hain
Wafadari Ka Dawa Kyun Krein Ham.
ये काफी है कह हम दुश्मन नहीं हैं
वफ़ादारी का दावा क्यूँ करें हम।
Naya Ek Rishta Paida Kyun Krein Hum
Bicharna Hai Tu Jagra Kyun Krein Ham.
नया इक रिश्ता पैदा हुआ क्यूं केरिन हम
बिचारना है तू जागरा क्यूँ केरिन हम।
Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin,
Tu mere paas se is waqt jaa nayeen.
मेरा इक रिश्ता है इल्तिजा नहीं,
तू मेरे पास से इस वक्त जा नईं।
Dil tamanna se ddar geya jaanam,
Sara nasha utar geya jaanam.
दिल तमन्ना से डर गया जानम,
सारा नशा उतर गया जानम।
Ghair Ke Dil Mai Gar Utarna Tha,
Mere Dil Se Utar Gaye Hote.
घर के दिल में गर उतरना था,
मेरे दिल से उतर गए होते।
Kitne aish udaate honge kitne itrate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge.
कितने ऐश उड़ते होंगे कितने इटरेट होंगे
जाने कैसे लोग वो होंगे जो हमें को भाते होंगे।
Kamsani Mein Bahut Shareer Thi Woh,
Ab Toh Shaitan Ho Gayi Hogi.
कमसनी में बहुत शरीर थी वो,
अब तो शैतान हो गई होगी।
Ye kaafi hai ham dushman nahin hain
Wafaa-daari ka daawa kyun karein ham.
ये काफी है हम दुश्मन नहीं हैं
वफा-दरी का दावा क्यों करें हम।
Jaun Elia Poems
Ye mujhe chain kyun nahin padta
Ek hi shakhs tha zahaan mein kya.
ये मुझे चैन क्यों नहीं पड़ता
एक ही शाख्स था ज़हान में क्या।
Mahak utha hai aangan is khabar se
Wo khusboo laut aai hai safar se.
महक उठा है आंगन इस खबर से
वो खुशबू लौट आई है सफर से।
Daad-o-tahseen ka ye shor hai kyun
Ham to khud se kalaam kar rahe hain.
दाद-ओ-तहसीन का ये शोर है क्यों
हम तो खुद से कलाम कर रहे हैं।
Yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qyaamat baahon ka
Wo jo simat te honge un mein wo to mar jaate honge.
यारो कुछ तो ज़िक्र करो तुम हमें की क़यामत बहनों का
वो जो सिमट ते होंगे उन में वो तो मर जाते होंगे।
Apne Sab Yaar Kaam Kar Rahy Hain
Aur Hum Hain Ke Naam Kar Rahy Hain.
अपने सब यार काम कर रहे हैं
और हम हैं के नाम कर रहे हैं।
Sab Mere Baghair Mutmayin Hain
Mein Sab Ke Baghair Ji Raha Hun.
सब मेरे बघेर मुत्मयिन हैं
मैं सब के बघैर जी रहा हूं।
Khoob hai shauk ka ye pehalu bhi
Main bhi barbaad ho gaya tu bhi.
खूब है शौक का ये पहलू भी
मैं भी बरबाद हो गया तू भी।
Hum hain masroof-e-intizaam magar
Jaane kya intizaam kar rahe hain.
हम हैं मसरूफ़-ए-इंतिज़ाम मगर
जाने क्या इंतजार कर रहे हैं।
Khoob hai ishq ka ye pehalu bhi
Main bhi barbaad ho gaya tu bhi.
खूब है इश्क का ये पहलू भी
मैं भी बरबाद हो गया तू भी।
Aur kya chaahati hai gardish-e-ayyaam ki ham
Apna ghar bhool gaye un ki gali bhool gaye.
और क्या चाहत है गर्दिश-ए-अय्याम की हम
अपना घर भूल गए उन की गली भूल गए।
Jaun Elia Sher
Kharch chale ga ab mera kis ke hisaab main bhala,
Sab ke liye bohat hoon main apne liye zara nahin.
खर्च चले गा अब मेरा किस के हिसाब में भला,
सबके लिए बोहत हूं मैं अपने लिए जरा नहीं।
Jo dekhta hoon wohi bolne ka aadi hoon,
Main apne shehar ka sab se bara fasadi hoon..
जो देखता हूं वही बोलने का आदी हूं,
मैं अपने शहर का सब से बड़ा फसादी हूं..
Main bhi bohat ajeeb hoon itna ajeeb hoon ke bass,
Khud ko tabaah kar liya aur malal bhi naheen.
मैं भी बहुत अजीब हूं इतना अजीब हूं के बास,
खुद को तबाह कर लिया और मलाल भी नहीं।
Ilaaj Yeh Hai Ke Majboor Kar Diya Jaaun,
Warna Yun Toh Kisi Ki Nahi Suni Maine.
इलाज ये है के मजबूर कर दिया जाऊं,
वरना यूं तो किसी की नहीं सुनी मैंने।
Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhhal de koi.
हां ठीक है मैं अपनी आना का मेरीज हूं,
आखिर मेरे मिजाज में क्यों दखल दे कोई।
Ehd e Rafaqat Theek Hai Lekin Mujhko Aesa Lagta Hai,
Tum Toh Mere Sath Rahogi Main Tanha Reh Jaunga.
एहद ए रफाकत ठीक है लेकिन मुझे ऐसा लगता है,
तुम तो मेरे साथ रहोगी मैं तन्हा रह जाऊंगा।
Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava kyon karain hum.
ये काफी हैं के हम दुश्मन नहीं हैं,
वफ़ादारी का दावा क्यों करें हम।
Masoom kis qadar tha main aghaaz-e-ishq main,
Aksar to us ke saamne sharmaa geya hoon main.
मासूम की क़दर था मैं आगज़-ए-इश्क मैं,
अक्सर तो हमारे सामने शर्मा गया हूं मैं।
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan mein kya ?
ये मुझे चैन क्यों नहीं परता,
ऐक ही शाख्स था जहान में क्या?
Zindagi Kis Tarah Basar Ho Gi
Dil Nahi Lag Raha Mohabat Mein.
जिंदगी किस तरह बसर हो गई
दिल नहीं लग रहा मोहब्बत में।
Jaun Elia Sad Poetry
Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,
Tamaam umar jalaya hai apna jee meine.
गम-ए-शौर कोई दम तो मुझे मुहलत दे,
तमाम उमर जला है अपना जी में।
Jo Guzari Na Ja Sake Humse
Ham Ne Wo Zindagi Guzari Hai
जो गुजरी ना जा सके हमसे
हम ने वो जिंदगी गुजरी है!
Sochta hoon kabhi kabhi yoon hi,
Aakhir harjj kya tha usey manaane mein.
सोचता हूं कभी कभी यूं ही,
आखिरी हर्ज क्या था उसे मनाने में।
Gawai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Mein Ne
Wo Koon Hai Jisey Dekha Nahi Kabhi Mein Ne.
गंवई किस की तमन्ना में जिंदगी में ने
वो कौन है जिसे देखा नहीं कभी में ने।
Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai
Ye Kahani Nahi Sunani Hai.
जिंदगी क्या है इक कहानी है
ये कहानी नहीं सुनानी है।
Kya sitam hai ke ab teri suurat,
Ghaur karne pe yaad aati hai.
क्या सितम है के अब तेरी सूरत,
गौर करने पर याद आती है।
Har shakhss meri zaat se janey ke liye tha,
Tu bhi meri zaat se janey ke liye hai.
हर शक्स मेरी ज़ात से जाने के लिए था,
तू भी मेरी जात से जाने के लिए है।
Shayad Muje Kisi Se Mohabat Nahi Hui
Lekin Yaqeen Sab Ko Dilata Raha Hun Mein.
शायद मुझे किसी से मोहब्बत नहीं हुई
लेकिन यकीन सब को दिलता रहा हूं में।
Naya ek rishta paida kyun karen hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karen hum.
नया एक रिश्ता क्यों पाया हम
बिचारना है तो झगड़ा क्यों करें हम।
Jaane Kahan Base Gi Tu,
Jaane Kahan Rahunga Main.
जाने कहां बेस जी तू,
जाने कहां रहूंगा मैं।
आप के लिये:
Jaun Elia Books
Kal Dophar Ajeeb Si Ik Be Dili Rahi
Bas Telian Jala Ke Bhujata Raha Hoon Main.
कल दोफर अजीब सी इक बी दिली राही
बस तेलियां जाला के भुजाता रहा हूं मैं।
Mujh Ko Khwahish Hi Dhondne Kin A Thi
Muj Mein Khoya Raha Khuda Mera.
मुझ को ख्वाहिश ही धोंडने किन ए थी
मुझ में खोया रहा खुदा मेरा।
Mere Sare Qatal Muj Par Jan-o Dil Se Aashiq Thay
Mai Ne Hi Khud Ko Mara Khair, Sab Ka Bhala Ho Sab Ki Khai.
मेरे सारे क़तल मुझ पर जन-ओ दिल से आशिक था
माई ने ही खुद को मारा खैर, सब का भला हो सब की खाई।
Maine Sab Khwahishon Ko Taal Diya,
Apne Dil Se Tumhe Nikal Diya.
मैने सब ख्वाहिशों को ताल दिया,
अपने दिल से तुम्हें निकल दिया।
YahaaN tere andar nahiN meri khair,
Meri jaaN mujhe mere andar chhupaa.
यहां तेरे अंदर नहीं मेरी खैर,
मेरी जान मुझे मेरे अंदर छुपा।
Jaane gumaan ki wo gali aisi jagah hai kaun si,
Dekh rahe ho tum ke main phir wahin jaa ke mar rahaa.
जाने गुमान की वो गली ऐसी जगह है कौन सी,
देख रहे हो तुम के मैं फिर वहीं जा के मर रहा।
Beroon-e-zaat kese hai sad maajraa farosh,
Wo andarooN-e-zaat jo andar hai gum yahan.
बेरून-ए-ज़ात केसे है उदास माजरा फ़रोश,
वो अंदर-ए-ज़ात जो अंदर है गम यहां।
Kya sitam hai k ab teri soorat
ghor karne par yaad ati hai.
क्या सितम है के अब तेरी सूरत
घोर करने पर याद अति है।
Thi agar Anay Mein Maslihat Hail
Yaad Aana Koi Zarori Tha ?.
थी अगर आने में मसलिहाट जय
याद आना कोई जरूरी था?
Sar hi ab phorriye nadamat main,
Neend aane lagi hai furqat main.
सर ही अब फोरिये नदमत मैं,
नींद आने लगी है फुरकत में।
Mil rahi ho barre tapaak ke sath,
Mujh ko yaksar bhula chuki ho kya.
मिल रही हो बर्रे तपाक के साथ,
मुझ को यक्षर भुला चुकी हो क्या।
Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha,
Sab aankhen damm torr chuki theen aur main tanha zinda tha.
अब वो घर तक विराना था बस विराना जिंदा था,
सब आंखें दम तोर चुकी थीन और मैं तन्हा जिंदा था।
Aakhri baar aaah kar li hai,
Maine khud se nibaah kar li hai.
आखिरी बार आ कर ली है,
मैने खुद से निबाह कर ली है।
Hijr mein jal raha tha main aur pighal raha tha main,
Ek khunk si roshni mujhko bujha ke le gai.
हिज्र में जल रहा था मैं और पिगल रहा था मैं,
एक खूंक सी रोशनी मुझे बुझा के ले गई।
यह भी पढ़े:
Shayad Jaun Elia
Mar Chuka Hai Dil Magar Zinda Hun Main
Zehar Jaisi Kuch Dawayein Chaiye’en
Poochti Hain Aap, Aap Achey Toh Hain
Jee Main Acha Hun, Duayein Chaiye’en.
मर चूका है दिल मगर जिंदा हूं मैं
ज़हर जैसी कुछ दवाएँ
पूछता है आप, आप अच्छे तो हैं
जी मैं अच्छा हूं, दुआएं छैं।
Tum Jab Aao Gi Khoya Hua Pao Gi Muje
Meri Tanhai Mein Khwabon Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Mere Kamre Ko Sajane Ki Tamanna Hai Tumhen
Mere Kamre Mein Kitabon Ke Siwa Kuch Bi Nahi.
तुम जब आओ जी खोया हुआ पाओ जी मुजे
मेरी तन्हाई में ख्वाबों के सिवा कुछ बी नहीं
मेरे कमरे को सजने की तमन्ना है तुम
मेरे कमरे में किताबों के सिवा कुछ बी नहीं।
Yun to apne qasidaan-e-dil ke paas,
Jane kis kis ke liye pegham hai,
Jo likhe jaate rahe aur ka naam,
Mere woh khat bhi tumhare naam hain.
यूं तो अपने कसीदां-ए-दिल के पास,
जाने किस के लिए पेगम है,
जो लिखे जाते रहे और का नाम,
मेरे वो खत भी तुम्हारे नाम हैं।
Haan theek hai main apni anaaa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj main kyun dakhal de koi,
Ik shakss kar raha hai abhi tak wafaa ka zikr,
Kaash is zabaan–daraaz ka muu noch le koi.
हां ठीक है मैं अपनी आना का मेरीज हूं,
आखिर मेरे मिजाज मैं क्यों दखल दे कोई,
इक शक्स कर रहा है अभी तक वफा का जिक्र,
काश ज़बान है-दराज का मु नोच ले कोई।
Har Bar Tuj Se Milte Waqt
Tujhse Milne Ki Aarzoo Ki Hai
Tere Jaane Ke Baad Bi Mein Ne
Teri Khushbu Se Guftagu Ki Hai.
हर बार तुझ से मिलते वक्त
तुझसे मिलने की आरज़ू की है
तेरे जाने के बाद में ने
तेरी खुशबू से गुफ्तगू की है।
Saal-har-saal aur ik lamhaa,
Koi bhi to na in main bal aya,
Khud hi ik dar pe maine dastak di,
Khud hi larka sa main nikal aya.
साल-हर-साल और इक लम्हा,
मैं बल आया में कोई भी तो ना,
खुद ही इक डर पे मैंने दस्तक दी,
खुद ही लड़का सा मैं निकल आया।
Dil Guman Tha Gumaniyan thay hum
haan miyan dastaniyan thay hum
ham sune aur sunaye jaate thay
raat bhar ki kahaniyan thay hum.
दिल गुमान था गुमानियां था हम
हां मियां दास्तानियां थे हम
हम सुने और सुनते जाते था
रात भर की कहानियां थे हम।
Yoon jo takta hai asmaan ko tu,
Koi rehta hai aasman main kya,
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan mein kya.
यूं जो ताकत है आसमान को तू,
कोई रहता है आसमान में क्या,
ये मुझे चैन क्यों नहीं परता,
ऐक ही शाख्स था जहान में क्या।
Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne,
Woh kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne,
Tera khayal to hai pr tera wajood nahin,
Tere liye to yeh mehfil sajaayi main ne.
गंवायी किस तमन्ना में जिंदगी में ने,
वो कौन है जिसे देखा नहीं कभी मैं ने,
तेरा ख्याल तो है पर तेरा वजूद नहीं,
तेरे लिए तो ये महफिल सज़ायी मैं ने।
Mere kuch sawal hai
jo sirf kayamat ke roz puchunga tumse
kyunki usse pehle tumhari aur meri baat ho sake
iss layak nahi ho tum.
मेरे कुछ सवाल है
जो सिर्फ कयामत के रोज पुचुंगा तुमसे
क्योंकि उससे पहले तुम्हारी और मेरी बात हो सके
इस लायक नहीं हो तुम।
Sharam, dehshat, jijhakk, pareshaani,
Naaz se kaam kyun nahin leti,
Aap, woh, ji magar, yeh sab kya hai,
Tum mera naam kyun nahin leti.
शरम, देहशत, जिझक्क, परेशानी,
नाज़ से काम क्यों नहीं लेती,
आप, वो, जी मगर, ये सब क्या है,
तुम मेरा नाम क्यों नहीं लेते।
Aap apna ghubaar they hum to,
Yaad they yaadgar they hum to,
Hum ko yaaron ne bhi yaad na rakha,
Jon yaaron ke yaar they hum to.
आप अपना ग़ुबार वे गुनगुनाते हैं,
याद वे यादगार वे गुनगुनाते हैं,
हम को यारों ने भी याद ना रखा,
जॉन यारों के यार वे गुनगुनाते हैं।
Nashaa-e-Naaz Ne Be-Haal Kia Hai Tum Ko
Apne Hee Zor Mein Kamzor Hoi Jaati Ho
Mein Koi Aag Nahi, Aach Nahee, Dhoop Nahee
Kiun Paseenay Mein Sharaabor Hui Jaati Ho.?
नशा-ए-नाज ने बे-हाल किया है तुम को
अपने ही जोर में कमजोर हो जाती हो
में कोई आग नहीं, आच नहीं, धूप नहीं
किन पसीनों में शाराबोर हुई जाति हो।?
Pass Rah Kar Judai Ki Tuj Se
Dor Ho Kar Tuje Talash Kia
Mein Ne Tera Nishan Gum Kar Ke
Apne Andar Tuje Talash Kia.
पास रह कर जुदाई की तुझ से
दोर हो कर तुझे तलाश किया
में ने तेरा निशान गुम कर के
अपने अंदर तुझे तलाश किया।
Zabt karke hansi ko bhool gaya,
Main to us zakhm hi ko bhool gaya,
Qahqaha maarte hai deewana,
Har gham-e-zindagi ko bhool geya.
ज़बत करके हंसी को भूल गया,
हमको ज़ख़्म ही को भूल गया,
कहकहा मरते है दीवाना,
हर गम-ए-जिंदगी को भूल गया।
Hai yeh baazaar jhoot ka bazaar,
Phir yehi jinss kyun na tolain hum,
Karke ik doosre se ehd-e-wafa,
Aao kuch der jhoot bolain hum.
है ये बाजार झूठ का बाजार,
फिर यही जिन्स क्यों ना तोलेन हम,
करके इक दूसरे से एहद-ए-वफ़ा,
आओ कुछ डर झूठ बोलें हम।
Ye Tere Khat Teri Khushbu Ye Tere Khawab o Khayal
Mata-e Jaan Hai Tere Qol-o Qasam Ki Tarah
Guzishta Sal Inhain Mai Ne Gin Ke Rakha Tha
Kisi Ghareb Ki Jori Hoi Raqam Ki Tarah.
ये तेरे खत तेरी खुशबू ये तेरे ख्वाब ओ ख्याल
माता-ए जान है तेरे क़ोल-ओ क़सम की तरह
गुज़िश्ता साल इनहैं माई ने जिन के रखा था
किसी घर की जोरी होई रकम की तरह।
Teri Yaadon Ke Raastay Ki Taraf
Ik Qadam Bhi Nahi Barhuun Ga Mein
Dil Tadapta Hai Tere Khat Parh Kar
Ab Tere Khat Nahi Parhuun Ga Mein.
तेरी यादों के रास्ते की तरफ
इक कदम भी नहीं बरहुं गा में
दिल तड़पता है तेरे खत पर कर
अब तेरे खत नहीं परहुं गा में।
Kaun sood-o-ziyan ki duniya mein,
Dard-e-ghurbat ka sath deta hai,
Jab muqaabil hon ishq aur daulat,
Husnn daulat ka saath deta hai.
कौन सूद-ओ-जियान की दुनिया में,
दर्द-ए-ग़ुरबत का साथ देता है,
जब मुकाबिल हो इश्क और दौलत,
हुस्न दौलत का साथ देता है।
In conclusion, Jaun Elia’s Shayari page serves as a tribute to the timeless beauty and emotional depth of his poetry. His verses, characterized by their exploration of love, pain, and the human condition, continue to captivate readers and connect with the deepest recesses of their hearts. Jaun Elia’s enduring legacy in Urdu literature reminds us of the power of words to convey the profound intricacies of life and emotion, leaving an indelible mark on those who delve into his poetic world.